
WhatsApp se .apk file send kaise Kare , Whatsapp Par android apps & games ki .apk file kaise share kare Dosto aap whatsapp use karte hai to aap jante hi honge ki isse aap photo image video document and ab Gif file bhi send kar sakte hai. But agar agar aapko android apps and games and iOS apps WhatsApp se send karna hai to vo nahi kar pate hai but aaj me aapko Trick batane Wala hu usse use kar aap aasani se WhatsApp se .apk file Send kar payege.
- Whatsapp Profile ko kis kisne Dekha ya view kiya kaise pata kare
- Whatsapp Par Kisi Ka Bhi Hide Last Seen kaise dekhe ya Check kare
WhatsApp Par .Apk Ya koi bhi Files Send Karne me Kya problem Hoti Hai.
Dosto aapne dekha hoga ki jab bhi aap WhatsApp se koi android app ya computer software send karna chahate Hai. To waha aapko unhe send Karne ka option nahi dikhta Hai aapko WhatsApp par only Galley (photos videos gif), camera documents, Location, audio or contact ko send Karne ka option hi dikhta Hai .
But bhut se log game khelne ke sukeen hote hai and apps kisko pasand nahi Hai or aap apne friends ya kisi ke sath bhi android apps & games share karna chahate Hai to sabse accha or best option WhatsApp hi hota Hai. kyoki ye messenger sabhi logo ke phone me hota Hai or esse bhut hi kam log honge jinke smartphone me whatsapp na ho but isse aap koi bhi file jaise .apk ya .zip send nahi kar sakte Hai.
kyoki issme ye option hi nahi hota but aap chahe to simple trick ko follow kar .apk ya koi bhi file bhi isspar share kar sakte Hai. Isske liye Google pay store par bhut si apps available Hai but aap Bina kisi app ka use kiye hi .apk file send karna chahate Hai to yaha me aapko issi ka tarika batane Wala hu.
WhatsApp Par .Apk File Kaise Share Kare ( Without Using Any App )
Friends android apps and games ko agar aap apne whatsApps friends ke sath ya WhatsApp Group me share karna chahate Hai to use liye yaha me aapko method batane Wala hu vo bhut si simple hai and issme aapko kisi bhi third party app ko download Karne ki bhi jarurat nahi Hai.
How to Apk File Send On Whatsapp Detail In Hindi

- Sabse pahle aap jiss bhi app file ko WhatsApp par send karna chahate Hai. Ussko rename karna hoga. Isske liye aap apne phone ke file manager me Jaye or jaha bhi vo app Hai uspar apne finger se hold Kare ab aapko bhut se option dikhne lagege unmese rename par click Karde.
Note – agar aap essi apps ko WhatsApp par share karna chahate Hai Jo aapke phone me installed Hai but vo aapki phone storage ya sd card me nahi Hai to aap niche link par click karke post read kare.
- Google Play Store Installed Apps SD Card Me Save Kaise Kare

- Ab aap jaise hi rename par click karege aapko app ke name ke sath me end me .apk likha dikhega. Iss apk ko hatakar aapko txt likhna Hai. Or OK par click Karde.

- Aap jaise hi .apk file ki jagah .txt likhkar ok par click karege aapka apps ya game ka icon change ho jayega or usme TXT likha dikne lagega. Jaisa ki aap uper screenshot me dekh sakte Hai.

- Ab aap apne whatsapp ko open kare or apne jis bhi friend ko app file send karna chahate Hai uske inbox me Jaye or yaha aapko share icon dikhega uspar click karde. Or document par click Karde.

- Ab yaha browse other document par click Kare or us apk file ko select Kare Jo aapne text me convert ki Hai.

- Now aapki file send hona start ho jayegi.

jab aapki file puri tarah send ho jayegi tab aapne apne jis WhatsApps friends ko ye game file send ki hai usse bole ki vo isse download kare and jab vo iss file ko download karlega fir usse bole ki iss file ko usse rename karna hoga rename karne ke liye file par click karke rename par click karna hai.

- rename par click karne ke baad txt likha hai usse hatakar bus apk likhna hai or ok par click kar dena hai jaisa ki uper screenshot me dekh sakte hai.

ab jaise hi aapka friend us game file ko rename karega vo original game ban jayega or uska icon bhi dikhne lagega and usse mobile phone me install bhi kar payege.