Yaha janene WhatsApp me message me word ko text formatting karke Italic, Bold, Underline aur Strikethrough kaise kare in Hindi.

WhatsApp ke 2.12.17 update me ek aisa option aya hai jo kafi logo ke samne abhi bhi hidden bana hai, ise kafi kam log jante hai ki WhatsApp par bhi MS word ki tarah text formatting kar sakte hai. Text formatting me generally bold, italic, underline strikethrough hote hai.
To chaliye main apko batata hu ki apne whatsapp message ko bold, underline, italic etc. me bhi kaise likh sakte hai.
WhatsApp Me Text Formatting
1. WhatsApp Me Bold Message Kaise Likhe
Bold ke liye koi bhi word ko *(Star) ke bich me likhe, example *bold* yah send hone bad me Bold ho jaega.
2. WhatsApp Me Strikethrough Message Kaise Likhe
ke liye koi bhi word ko ~(Tilde) ke bich me likhe, example ~Strikethrough~ yah send hone bad me ho jaega.
3. WhatsApp Me Italic Message Kaise Likhe
Italic ke liye koi bhi word ko _(Underline)ke bich me likhe, example _Italic_ yah send hone bad me Italic ho jaega.
4. Sath Me Use Kare
Agar Bold aur Italic ko ek sath me use karna ho jo kuch is tarah se dikhega = BoldItalic to word ko * aur _ dono se cover kar de, example *_BoldItalic_*
Is tarah ek sath me dusre bhi text formatting add kar sakte hai.
To ye tha WhatsApp par Text formatting ka tarika, yah almost un logo ke liye faydemand hai jo apne blog ke article WhatsApp par share karte hai.