Whatsapp Group invite/invitation link kaise banaye create kare- Full detail

create whatsapp group invite link

Hello friends Whatsapp group invite ya invitation link kaise banaye create kare ye main aapko iss article me batane wala hu. Friends whastap ek popular social messaging site hai. Jisske bare me aap log jante hi honge. Isske new update me aapko bhut se features mil rahe hai. Jaise video streaming feature ka use karke aap bina download kiye koi bhi whatsapp video dekh sakte hai bilkul youtube ki tarah. or issme end to end encryption feature diya hai jisse aap apne chat and message ko encrypt karke secure kar sakte hai. or un chat and messages ko fir aapke alawa koi bhi  nahi dekh payega. or isme video calling feature bhi add kiya gaya hai. Ab aap whatapp se bina kisi app ka use kiye direct video calling kar sakte hai. Or issme two step verification feature bhi diya gaya hai jiska use karke aap apne account ko safe rakh sakte hai and two step verification me agar koi dusre mobile se aapka whatsapp open karega to use verification code bhi dalna hoga.  Ye kuch new features whatsapp ke beta version me add kiye gaye hai..

Whatsapp group invite/invitation link kya hai ? What is whatsapp group invite link in hindi

Friends jaisa ki aapko pata hai ki aap whatsapp par aap apna group bana sakte hai and group me admin bana sakte hai and usme name and photo add kar sakte hai. or apne friends ko apne bhi usme me add kar sakte hai. Ya kisi ko bhi add kar sakte hai  ye sabhi bate aap log jante hi honge. Lekin kya aapko pata hai ki aap apne whatsapp group ki invite ya invitation link bhi create kar sakte hai. Invitation link vo link hoti hai jisse hum logo ko invite karte hai ya bulate hai. Matlab whatsapp group invitation link means aap logo ko apne whatsapp group ko join karne ke liye invite karte hai yani bulate hai. Ye ek bhut accha tarika hai jisse aap kam time me jayda se jayda logo ko apne group me add kar sakte hai.

  • Whatsapp group me aapka message kisne seen kiya ? kaise chack kare
  • Whatsapp par Fake spam messages ko kaise pehchane ya identify kare

Whatsapp group invite link ke features-

  1. Aapko sabhi logo ko baar baar add karne ki jarurat nahi hoti kyoki aap iss invite link ko apne dosto ke sath share kar sakte hai or us par click karke aapka friends asani se aapke whatsapp group me join ho jayega.
  1. Aap isse kam time me jayda se jayda logo ko add kar sakte hai.
  1. Aap iss invite link ko facebook or twitter or kahi par bhi ya message or email se bhi share kar sakte hai.
  1. Apne whatsapp group ki invite link banakar aap use kahi par bhi share kar sakte hai or jo bhi uspar click karega vo automatically aapke whatsapp group me add ho jayega.
  1. Isse aapka time bachta hai and isse aapko ek ek karke logo ko add karne ki problem nahi hoti hai or jo log aapke whatsapp group me join hona chahate hai vo iss invite link se automatically join ho jate hai.
  1. Isse aapke phone ki storage bhi bachti hai kyoki pahle aapko new member jo aapke whatsapp group mr join hona chahate the unke number phone me save karne hote the lekin ab aap unhe ye invite link send kar sakte hai.

Whatsapp group invite/invitation link kaise banaye create kare-

  • Sabse pahle  apna whatsapp open kare or us group me jaye jo aapka hai yani jissme aap admin hai.
tap on 3 dots
tap-on-group-info
  • Ab  aapko left side me 3 dot dikhege unpar click kare or fir aapke samne kuch option show honge unmese group info par click kare.
tap-on-left-side-icon
  • Ab aapko friends ko invite karne ka ek icon dikhega  uspar click kare. Uper image follow kare
follow-grup-via-link
  • Ab aapko invite to group via link par click karna hai.
link ko copy karna hai
  • Now aapke samne aapke group ki invite/invitation link aa jayegi ab aapko copy link par click karna hai.

Iss tarah friends aap asani se apne Whatsapp group ki link create kar sakte hai ya bana sakte hai or use kahi bhi jaise facebook twitter etc par share kar sakte hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *